pardes may ghar lut gaya bano ki thi faryaad
ay sayyade sajjad
pardes may….
asghar ke bina hogayi dunya meri barbaad
ay sayyade sajjad
pardes may….
bachon ki judaai may hai zainab ka bura haal
kubra bhi hai behaal
laila ka jigar chalni hai farwa bhi hai nashaad
ay sayyade sajjad
pardes may….
akbar hai na asghar hai na ab shahe mubeen hai
har samt layeen hai
tumhi mere waris bhi ho tumhi meri aulaad
ay sayyade sajjad
pardes may….
raton ko bhi aksar jo sakina nahi soti
uth uth ke hai roti
aankhon may phira karte ho shayad sitami jaad
ay sayyade sajjad
pardes may….
parde hai amari hai na chadar na saro par
khushki hai labon par
rassi ki ghiraft se koi baazu nahi azaad
ay sayyade sajjad
pardes may….
1,820 Views