Ooncha Rahe Apna Alam
uncha rahe apna alam
jab tak hai daure aasman
sunlenge har teero jawaan
awaaz par shabbir ke badta rahe ye kaarwaan
rukne na paaye ek qadam
uncha rahe….

har qalbo par chaate chalo
dunya ko batlaate chalo
ek ek mahaaze zulm ki tasveer dikhlate chalo
har dil may bhar do sheh ka gham
uncha rahe….

kab tak na maanega koi
wo waqt aayega kabhi
har qalb par chaata raha apna hussain ibne ali
is dar pe har sar hoga qam         
uncha rahe….

jab bhi koi mushkil padi
dunya isi dar par jhuki
seeno pe balkhaakar idhar uthi sadaaye ya ali
nikla udhar baatil ka dam
uncha rahe….

ye parchame abbas hai
toote dilon ki aas hai
ab tak isi parcham tale zinda kisi ki pyas hai
jisne sahe laakhon sitam
uncha rahe….

abbas hai naame wafa
awaaz-o-anjaame wafa
moo mod ke darya se jo peeta raha jaame wafa
hote rahe baazu qalam
uncha rahe….

wo teere baani-e-jafa
masoom ka nanha gala
islam zinda kargayi ashgar ke marne ki ada
haskar saha teere sitam
uncha rahe….

zinda hai halmin ki sada
mitta nahi khoon ka likha
shabbir ka haq ki qasam ek maa ke daahe karbala
jo silsila hoga na kam
uncha rahe….

ay nowjawane azaa
tum ho kisi dil ki dua
ta hashr uth-ti hi rahe seeno pe matam ki sada
qaayam rahe akbar ka gham
uncha rahe….

jab karbala yaad aayegi
insaniyat sharmayegi
mazloom ki awaaz hai dil may utarti jaayegi
palthenge phir behke qadam
uncha rahe….

zinda ye bedaari rahe
ye silsila jaari rahe
hum ho na ho is bazm may khayam azadari rahe
nikle isi shaukath pe dam
uncha rahe….
1,042 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot