shabe ashoor qaimaye kulsoom se aati thi sada
haye haye haye mai bhi zainab ki tarha
bhai ka deti sadqa kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom ke lab par noha
saath pardes may bhai ka barabar deti
sheh ke baysheer pe qurbaan usay kar deti
dil may hasrat hi rahi aun o mohamed jaisa
kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom….
daagh bete ki judai ka utha leti behen
apne bhai ki nishani ko bacha leti behen
sheh ke akbar ki jagah seene pe khata naiza
kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom….
haath ho jaate qalam ran may mere bete ke
saare khoon apna baha deta wo pani ke liye
leke ghazi se reza usko banaati saqqa
kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom….
saath shabbir ke jis tarha hai ghazi ki wafa
wo bhi aaqa ko kabhi apne na zehmat deta
saath sajjad ka har mod pe deta wo sada
kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom….
kehti shabbir se zehmat na uthao bhai
ghar may sadaat ke sadqe ko na lao bhai
uska qhaimo my kabhi aane na deti laasha
kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom….
jab sunay bain ye takallum to ye ghazi ne kaha
kal ye abbas fida teri taraf se hoga
tujhko baba ki qasam ab nahi dena ye sada
kaash mera koi beta hota
shabe ashoor tha kulsoom….
1,763 Views