Mere Jawan Akbar
Nowha kare maa laashe akbar par
tum qatl huve beta jeeti rahi maadar
ay mere jawaan akbar
veeraan hua beta tere baad mera ghar
kya tujhko teri maa ne is din ke liye paala
is maa ko zaeefi may kyun chod gaye beta
maa roti hai laashe pe tere aaj khule sar
ay mere……..
kehti thi phupi zainab jab byah rachaungi
akbar teri dulhan ki poshaak banaungi
afsos kafan bhi na tujhe aaya mayassar
ay mere……..
bemaar behan sughra takti hai tera rasta
pardes may tum aakar kyun bhool gaye waada
itna bhi nahi socha ke marjayegi qaahar
ay mere……..
humshakle nabi tumko kehta tha jahan sara
zainab tera laashe par karti hai yehi nowha
nana ki ziyarat ko taras jaaungi dilbar
ay mere……..
har dil ne kiya nowha har aankh hui purnam
kohraam hai qaimo may jannat may bapa matam
aur khaak udaate hai yehi kehke payambar
ay mere……..
phupiyaan bhi tadapti hai hamsheer bhi madar bhi
dada bhi tere roye shabbir bhi shabbar bhi
sadaat ke qaimo may qayamat ka hai manzar
ay mere……..
jab koi jawaan laash nazar aayegi beta
maa yaad tujhe karke tadap jaayegi beta
ek roz teri yaad may marjayegi madar
ay mere……..
3,876 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot