Na Des Apna Hai
Karbala se chali ek bekas behen
haa is aalam-e-gurbat watan yaad aaya
sab shaheedo ko kehti huvi alveda
bhai ki laash pe pahunchi to kafan yaad aaya
khud ko naaqe se gira-kar zainab kehne lagi ro ro kar
na des apna hai na log apne hai
mai kaise kafan doo mere mazloom baradar
na des apna hai….
ye dekh zara ay tashnadahan
shano ko mere jakde hai rasan
aur uspe sitam hai sar par nahi chadar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
kal saath tere har gaam chali
ab qaidi bani aur shaam chali
is dard ke maare roti hoo khule sar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
baba hai ameere kauno makan
hai tera laqab sardare jina
zainab to huvi hai be-chadar beghar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
ay bhai teri ghurbat ki qasam
ta umr nahi bhuloongi ye gham
pardes may aakar, nauha hai labon par
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
kya zulm sahe tujhko hai khabar
hai aal-e-mohamad khaak basar
haftum se nahi hai, pani bhi mayassar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
hota jo madina bhai mere
mil jaata kafan mazloom tujhe
is dasht-e-bala may, majboor hai khwaahar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
hai kushta-e-tayghe zulm bata
jab koi mera yawar na raha
maqtool-e-jafa hai, abbas aur akbar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
kya kya na huwi zainab pe jafa
sab qaime jale asbaab luta
par sab se bada hai, ye gham mere dil par
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
irfan aur mazhar kehna sake
jo binte ali ne bayn kiye
phat-ta hai kaleja, is baat ko sunkar
mai kaise kafan doo….
na des apna hai…
2,848 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot