Le Chalo Baba
Jab madine se chala khaafla karbobala
tha ye sughra ke labon par nawha
le chalo baba mujhe le chalo baba
apne humraah suye karbobala
le chalo baba….
aapki yaad may ro ro ke mai marjaungi
baba akbar ki qasam chain nahi paaungi
meri sason ka bharosa na raha
le chalo baba….
khafile walon ko pani bhi pilaungi mai
apni aaghosh may asghar ko sulaungi mai
baba ye aapse wada hai mera
le chalo baba….
mere kano may jo awaaz e azan aayegi
mere akbar ki mujhe yaad bahot aayegi
bhai ki yaad na ban jaye qaza
le chalo baba….
kaise akbar ke bina eid guzarungi mai
kabhi tumko kabhi ammu ko pukarungi mai
jab koi paas na hoga baba
le chalo baba….
dhoop aur garm hawa hogi safar may dekho
apne aanchal may chupalungi ali asghar ko
yu na asghar ko karo mujhse juda
le chalo baba….
khwab akbar ki urusi ke bahot dekhe thay
khaak hojayenge ay baba sab armaan mere
dil yehi soch ke rota hai mera
le chalo baba….
chacha abbas aur sakina phuphi zainab se
aakhri baar mila do mujhe baba sabse
phir ye bemaar nahi degi sada
le chalo baba….
bhaiya abid ko dawa roz pilaungi mai
unki rahon may nigahon ko bichaungi mai
tum kanizo ki tarha behr e khuda
le chalo baba….
acha mehmil may mujhe tum na bithana baba
tum mujhe raah may paidal hi chalana baba
na karungi mai shikayat na gila
le chalo baba….
maine maana ke nahi kaam mera manzar may
baba itna to batado ke akele ghar may
zinda rehpayegi sughra tanha
le chalo baba….
jab kabhi hoke madine se hawa aati hai
aaj bhi mazhar o irfan ye sada aaati hai
apne humraah suye karbobala
le chalo baba….
6,137 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot