Lashkar May Badi

Sher e ali ki aamad hai ye aate hai darya pe alamdar
lashkar may badi dhoom hai aate hai darya pe alamdar
lashkar may badi dhoom hai

jab chala mashk o alam le kar wo saqqa e haram
tha ali jaisa hi alamdar ka ja ho hasham
keh utha darya hai iske paas hyder ka alam
chor de saahil ko pehredaar
lashkar may badi…
aate hai darya pe…

al ama ka shor utha yak ba yak maidan may
yun laga ke gir hi jayega falak maidan may
maut ka nara ye goonja door tak maidan may
aagaye kya hyder e karraar
lashkar may badi…
aate hai darya pe…

taygh se likhega ye jarraar khissa maut ka
ek pal tootega na aada se rishta maut ka
hai faras tera sare maidan farishta maut ka
aaj tu hai bar sar e paikaar
lashkar may badi…
aate hai darya pe…

har qadam rahwaar ke humraah chalti hai qaza
hai dhamak aisi larazta hai ye dashte nainawa
ab teri talwar se pani piyegi alqama
ay khudayi fauj ke salaar
lashkar may badi…
aate hai darya pe…

zulf hai toole shabe meraj ki tasveer si
hai jabeene naaz koh e toor ki tanveer si
hai teri nazron may tezi hyderi shamsheer si
haan teri aamad ki ay jarraar
lashkar may badi…
aate hai darya pe…

sunte hi us sher ki lalkaar
lashkar may badi…
aate hai darya pe…

masroof thay jihad may abbas e bawafa
nagsah aayie qaime ki deodi  se ye sada
kya ab sakina pyasi hi mar jaaye ay chacha
kab tak ladoge fauj se bas ho chuki wegah
sukhe huye labon pe meri jaan aayi hai
ay noor e chashm e saaqi e kausar duhaai hai

hal khissa pahuncha saahil e darya pe ba wafa
hathon se darya cheen ke mashkeeza bhar liya
mashq o alam sambhaal ke qaime ka rukh hiya
barse wo teer mashq chidi aur alam gira
pani na pahuncha pyason ko ay waye alqama
baazu kata ke sher bhi darya pe so gaya
ay mazhar o farhan qayamat hui bapa
hathon se kamar thaam ke aaye shahe huda
bhai ko zakhmi dekh ke noha yehi kiya

725 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot