Matam Ki Sada Se Soya Hoa

matam ki sada se soya hua, ehsaas jagaya jaata hai
jo aale nabi par guzri hai, majlis may bataya jaata hai
matam ki sada se….

islam ke shedayi seekhay, yun deen bachaya jaata hai
sar tan se kataya jaata hai, ghar baar lutaaya jaat hai
jo aale nabi….

shabbir ne ye dikhlaya hai, ghurbat may bhi saare aalam ko
peeri may jawan ke laashe ko, kis tarh uthaaya jaat hai
jo aale nabi….

sar tan se kata kar bhi logon, hoti hai ibadat khaaliq ki
ya noke sina ke mimbar se, quran sunaya jaat hai
jo aale nabi….

qasim ki shahadat hote hi, ek shab ki suhagan rand hui
afsos ke ek ek choori ko, bewa ki badhaya jaat hai
jo aale nabi….

laasha na utha paaya na kafan, wo jiski lahad bhi ban na saki
har samt usi ka dunya may, taboot uthaaya jaat hai
jo aale nabi….

ye naqshe ghame sarwar hai zaki, mitne ka nahi ye dunya se
utna hi ubharta rehta hai, jitna ke dabaya jaat hai
jo aale nabi….

503 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot