Matami fazayein hai aansuon ka toofan hai
dastak-e-ajal sun kar zindagi hirasa hai
har taraf udaasi hai har nigah veraan hai
aur masjid-e-kufa farte gham se larza hai
matami fazayein….
aaj gir gaya hoga phir ghilaaf kaabe se
beh raha hai khoon payham shah ke amamay se
zakhme farq-e-haider ka ab khuda nigehban hai
matami fazayein….
zakhm itna kaari hai chal na paogay maula
ghar bhi jald jaana hai aagayi geleem aaqa
dar pe muntazir zainab muztar-o-pareshan hai
matami fazayein….
fikr-e-karbala may gum hai ali sar-e-bistar
ghaliban nigahon may hai koi tah-e-khanjar
dekh kar suye abbas chashm-e-shah giryaan hai
matami fazayein….
hai girya kuna kufay be-pidar hui zainab
aaj ghar ke aangan may nangay sar hui zainab
kal jo honay wala hai aaj say numayaa hai
matami fazayein….
itrat-e-payambar par saazisho ke ghayray hai
bujh gaya chiraagh aakhir har taraf andheray hai
chandgaam par shahid karbala ka maidan hai
matami fazayein….