Masoom Sakina Pyasi

masoom sakina pyasi hai

ye sukhe hue kab pushq zuban
betabatash se nanhi si jaan
masoom sakina….

ye tashnalabi ye jalti zameen
pani ka koi imkaan nahi
nazuk se jigar se uth-ta dhuan
masoom sakina….

bachi ki sada pani pani
aankhon may harram ki veerani
muztar hai phuphi betaab hai maa
masoom sakina….

kya kooza gir kar toot gaya
ya aas ka daaman choot gaya
kya ab na chacha aayenge yahan
masoom sakina….

ay pathar dil behte darya
tujhko bhi taras aaya na zara
kis kaam ka tera aab raha
masoom sakina….

abbas thay itne sharminda
saahil pa ye kehke dam toda
kis moo se bhala mai jaaun wahan
masoom sakina….

likhun bhi to kya likhun akhtar
larza hai khalam pani hai jigar
nohay hai mere ye ashqe rawan
masoom sakina….

924 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot