Mashko Alam Udas Hai Sadqa

masko alam udas hai saqqa udas hai
binte shahe umam ko kayi din ki pyas hai
masko alam….

keha hai kaun mashk alam se hai mubtasir
lipti hui chacha se bhatiji ki aas hai
masko alam….

pani mila to kehti thi amma bulaiye
mujhse kahin siwa ali ashghar ki pyas hai
masko alam….

ye kaun hai furaat ke saahil pa tashnalab
darya tadap utha hai samandar udas hai
masko alam….

ay teere hurmala kahin raste may teher ja
maadar ke dil ka tujhko agar kuch bhi paas hai
masko alam….

ay zuljana haan door isay le na jaaiyo
tera sawaar fatema ki kul ataas hai
masko alam….

kal tak yahan sukoon tha qaime thay log thay
ab aag hai dhuaan hai lahoo hai hiraas hai
masko alam….

860 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot