Koi Ghazi Ko Bulaye

Aagaya bazaar e sham
khaak par girti hai kehkar ye ali ki laadli
koi ghazi ko bulaye raah may bazaar hai

ye mera pehla safar hai baad e abbas e jari
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

virsadare sayyeda hoo waarise tatheer hoo
kis tarha bazaar jaaun khwahare shabbir hoo
ek sina par bhai roye ek par chadar meri
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

taaziyano ki aziyat qalb par sehloongi mai
kis tarha na-paak nazron ke sitam jheloongi mai
sharm se zehra ki beti jee te jee mar jayegi
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

ghar se jab jaati thi zainab mehmile laata tha wo
baam o dar bazaar saare bandh karwata tha wo
aaj be chadar hi zainab sham ki jaanib chali
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

khaafla jab bekaso ka sham ki jaanib chala
haath pabande rasan thay mehwe gham aur berida
khaafilay walon se rokar kehti thi fizza yehi
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

sham may in qaidiyon par kya taras khayenge log
sham may jaate hi humpar aag barsa-yenge log
kaamp uth-ti hoo abhi se soch kar manzar wohi
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

mujhko baba ne bataya tha dam e ruqsat yehi
ek din tu sham o kufa may khule sar jaayegi
kya karoo kisko bulaoon aagayi hai wo ghadi
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti…

bain ye farhan o mazhar zainab e dilgeer ka
sunke har laasha jafa ke dasht may thar-ra gaya
waasta logon nabi ka khaafla roko abhi
koi ghazi ko bulaye…
khaak par girti..

 

736 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot