qaid qane may sakina ye bayan karti thi
kya andhera hai phupi
shama mangwaiye warna mai nahi jeene ki
kya andhera hai phupi
apne seene se lagalo mai tumhare sadqe
godh may lelo mujhe
warna pachtaogi zinda na rahoongi mai kabhi
kya andhera hai phupi
aaj ki shab ko bhi kya baba nahi aayenge
mujhko tadpayenge
unke seene pe agar soti to neend aajati
kya andhera hai phupi
baba aajate to phir shimr ko hota maloom
kaun hai ye masoom
kya samajkar mujhe yun gurkhiyan deta hai shaqi
kya andhera hai phupi
pani laane ko kahan rooth gaye mujhse chacha
aap hi sochay zara
Hote ammu to mai is tarha tamache khaati
kya andhera hai phupi
baad mere jo yahan hoye pidar ka aana
unse ye farmana
margayi ghutke andhere may tumhari beti
kya andhera hai phupi
3,658 Views