Kitna Ghareeb Hogaya

Asghar ko dafn kar chuka jab fatema ka laal
tanhai apni dekh kar kehta tha pur malaal
nau laakh ka raila amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain

beenayi ja chuki hai jigar paash paash hai
is haal may bhi laashe pisar ki talaash hai
akbar ka hai laasha amma mai akela
kitna ghareeb…

amma ye aafate ye masaib ye tashnagi
ghurbat may saath chor gaye hai mera sabhi
zakhmo ki ye dunya amma mai akela
kitna ghareeb…

na fauj reh gayi na alamdar reh gaya
bas reh gaya to tera dilafgaar reh gaya
hai zulm ka sehra amma mai akela
kitna ghareeb…

waade sabhi nibha ke hua aise surkh roo
balon may khaak chehre pe baysheer ka lahoo
haathon pe janaza amma mai akela
kitna ghareeb…

daulat rabab ki sare maqtal chupayi hai
apne zaeef haathon se turbat banayi hai
karta raha noha amma mai akela
kitna ghareeb…

bachpan may kitne naaz uthaye hai yaad hai
ek pal bhi khud se door na karti thi tu mujhe
ye waqt hai kaisa amma mai akela
kitna ghareeb…

awaaz e isteghasa sunay kaun ab yahan
abbas hai na qasim o akbar na bezaban
ab kaun hai mera amma mai akela
kitna ghareeb…

jis phool se badan pe kabhi dhoop na padhi
teeron ne chaal daala hai amma badan wohi
marham na dilasa amma mai akela
kitna ghareeb…

ek daur tha ke ghar se agar mai kahin gaya
saaye ki tarha saath may rehte thay aqraba
ek ye hai zamana amma mai akela

kitna ghareeb…

ye barchiyo ki naizo ki dunya hai aur mai
tanhai fauje shaam ka nargha hai aur mai
de mujhko dilaasa amma mai akela
kitna ghareeb…

zakhmo se choor choor badan qalb aur jigar
faryaad hai labon pe khaba hai lahoo may tar
chalni hai kaleja amma mai akela
kitna ghareeb…

farhan us ghareeb ki lachaar ki buka
ha mazhar abidi ka qalam likh nahi saka
hai bas ye khulasa amma mai akela
kitna ghareeb…

 

1,257 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot