Karbala Ki Kahani

Karbala Ki Kahani

Aao ay ahle jahan aao ay tiflo jawan
mai sunata hoo tumhay ek pyase ki kahani
mohamed ke nawase ki kahani
yani karbala ki kahani

rone walo suno pursadaro suno
sogwaro suno matamdaro suno
ek halqe may aajao matam kare
karz jo hai lahoo par ada hum kare
ghar mohamed ka kis tarha loota gaya
bas isi gham may karna hai matam bapa
aane wali har ek nasl bain kare
saari dunya hussain hussain kare
mere kamsin hussainiyo
karbala ki kahani suno

is kahani may zehra ka gharbaar hai
unka beta jo jannat ka sardar hai
markazi is kahani ka kirdaar hai
uska ek bhai jo alamdar hai
tum tasavvur may maqtal chalo
karbala ki kahani…

nusrate haq ke khaatir wo ghar se chala
do moharram ko pahunchay thay karbobala
maon behno ka bachon ka bhi saath tha
saathvi se musafir ko pyasa rakha
is musibat ka matam karo
karbala ki kahani…

subhe ashoor kaisi ibadat hui
teer chalte rahe aur jama’at hui
ek ek karke sabki shahadat hui
asr ka waqt aaya qayamat hui
apne haathon se dil thaam lo
karbala ki kahani…

us taraf laakhon aur thay bahattar idhar
kat gaye ban may tifl o jawan sab ke sar
rehgaya ban may akela ali ka pisar
di sada hal min ki sheh ne ba chashme tar

hal min nasirin yan surana
aur phir farzande zehra akele hogaye
na akbar hai na qasim hai na abbas hai
na aun o mohamed hai na koi ansar baakhi raha
maqtal may imam hussain alihis salam sada de rahe thay
hal min nasirin yan surana
koi hai jo meri nusrat ke liye aaye

sunke isteghasa e shahe karbala
wo jo ek bhai sheh ka alamdar tha
uska saahil pe laasha tadapne laga
sheh ne hasrat se charon taraf ki nazar
koi bhi to nahi tha wahan
al gharaz sheh ne lashkar pe hamla kiya
aur rajaz ye padha

jung ab uski dekho zara shamiyon
jiska koi na baakhi raha shamiyon
jiske qasim ko tukde kiya shamiyon
huwe aun o mohamed juda shamiyon
jiska ansar ek na raha shamiyon
jiska abbas jaisa baradar gaya
jiske akbar ke seene may naiza laga
be-zaban bhi gaya
aur kuch dayr may surkh darya ka pani hua
aur phir hatif e ghaibi ki aayi sada
ya ayyatuhan nafsul mutmainna
irjaee ila rabbiki raaziyatan marziya

jab imam hussain alaihis salam ne is sada ko suna
to phir apni talwar ko mayan may rakh liya
aur phir ek sada balandh ki
aao ay teero aao ay talwaro
aao ay patharo mujhpe aa barso
bas maula ki sada baland hui
kahin se teer chalay kahin se talware chali
kahin se pathar barse
aur mere maula hussain lahoo lahaal hogaye
laakhon ke lashkar may aise bhi log thay
ke jiske haath may jo cheez aayi usne
imam hussain alihis salam pe barsana shuru ki
tanha hogaya fatema ka laal

choor zakhmo se zehra ka lakhte jigar
gir gaya pushte rehwaar se khaak par
aandhiya surkh chalne lagi
aur zameen khoon ugalne lagi
kund khanjar chala halqe shabbir par
ek teele pe zainab ne rokar kaha
haye hussaina haye hussaina
karbala ki kahani…

baade qatle shahe deen jafa yun hui
hogaye ban may pamaal laashe sabhi
sar sina par gaye laash ban may rahi
ban may naqqare bajne lagay us ghadi
is masayib pe girya karo
karbala ki kahani…

din dhal gaya aur sham aagayi
aagaye lootne bibiyon ko shaki
saare qaime jalay sabki chadar chini
tapta sehra tha bas aur aale nabi
aur pehre pe binte ali aagayi
rote rote ye shab kaati saadat ne
subho hote hi saadat qaidi bane
ek rasan zulm ki aur baara galay
tauq o zanjeer may maula sajjad thay
jaanibe sham ahle haram jab chalay
ek ek laashe besar pe rote huwe
bain zainab ke thay laashe shabbir pe
janibe shaam jaate hai hum sar khule
meri hasrat hai matam tera na ruke
aur mazhar tere ye masayib likhe
tera farhan tere masayib padhay
saari dunya teri ye kahani sunay
aur wan bhi har ek nasl bain kare
saari dunya hussain hussain kare

kitna taweel hai hussain ka safar
ek nasl qatm hoti hai doosri tayyar khadi hai
socho to aql hairaan hai
ek shaks kai sadiyon baad bhi
dilon par hukmarani kar raha hai
ye thi karbala ki kahani
ye thi ek pyase ki kahani
mohamed ke nawase ki kahani

2,173 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot