Kisi Ki Mayyat Tarap Rahi Hai

ye sham e ashoor ka hai manzar
hai tarb main itrat e payambar
jabeen pay tayer pay alqama ke
kisi ki maiyyat tarap rahi hai

ye koi mehve buka hai shayad
kisi nay ammu kaha hai shayad
barha hai shayad koi sitamgar
jabeen pay tayer pay alqama ke
kisi ki maiyyat tarap rahi hai

wo bholi bhali si ek bacchi
najaf ki janib jo tak rahi thi
kisi nay cheeney hain us ke gohar
jabeen pay tayer pay alqama ke
kisi ki maiyyat tarap rahi hai

atash say bacchay machal rahay hain
ye phool sholon main jal rahay hain
chaman main kumla gaey gul e tar
jabeen pay tayer pay alqama ke
kisi ki maiyyat tarap rahi hai

hujoom e gham say jo neem jan’ hai
wohi jo bemaar natavan hai
kisi nay kheyncha hai uska bistar
jabeen pay tayer pay alqama ke
kisi ki maiyyat tarap rahi hai

rahi jo kufay ki shahzadi
kisi nay shayad usay sada di
chini hai kausar ab uski chadar
jabeen pay tayer pay alqama ke
kisi ki maiyyat tarap rahi hai

598 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot