Khamosh Hai Alqama Ki Maujay

khamosh hai alqama ki maujay
fiza may bhi maut ka sama hai
ridaye zainab tera mohafiz
ukharti saanso ke darmiyan hai

hawaon ke rukh badal rahay hai
qayam darya se hat rahay hai
kisi ke teywar bata rahay hai
ke toot padnay ko aasmaan hai

sitam ki paykaan to kheynch lengay
hussain chashm-e-jari se lekin
khaalish ka ek teer aur bhi hai
jo qalb-e-abbas may nihaan hai

lahoo lahoo paykar e tamanna
qareeb mashkeezay sakina
gira hai rahwaar se wo aise
kahin pe baazu kahin nishaan hai

ba chashm-e-purnam bawakht e rehlat
ali ne jin baazuon ko chuma
kahin wo baazu qalam huye hai
kahin pe in may reesma hai

sakina bibi ki tashnagi ka
jigar pe ab tak hai daagh baaqi
wahin wahin mashk bhi milaygi
alam jari ka jahan jahan hai

lagi hai qaimo may aag har su
ridayen bewo ki chin rahi hai
udaasiya poochti hai shahid
wo pasban-e-haram kahan hai

1,272 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot