Khair Karey
Khuda Khair Karey
Us taraf zulm Pey aamaada zamaaney waaley
Is taraf saarey Mohammad ke gharaaney waaley
Kaun kiska hai tarafdaar khuda Khair Karey
Karbala hogayi tayyaar khuda Khair Karey
Ye qayaamat ke hai aasaar khuda Khair Karey
Karbala hogayi tayyaar khuda Khair Karey
1) Roz e aashoor hawaao’n se barastaa hai lahoo
Lutgayi kiski ye Sardaar khuda Khair Karey
2) ye to Mumkin hi nahi hai ke jhukaadey sarr Ko
Kya Karey saahib e kirdaar
khuda Khair Karey
3) bhai jaatey khuda haafiz o naasir kehkar
Behney kehtii hai ye har Baar khuda Khair Karey
4) wo jo ghodey se giraa saath girey Mashk o alam
Naa Alam hai Naa alamdaar khuda Khair Karey
5) Kitney sadmey hai jo sajjad Ko sehney hai Abhi
Beydiyaa’n Hoti hai tayyaar khuda Khair Karey
6) Aaj bhi seeno’n Mey zindaa hai Husain ibney Ali
Saara aalam hai Azadar khuda Khair Karey
7) Aaney waaley yuhi Aatey rahey rozo’n Pey sadaa
Kamm na ho aapke zawwaar khuda Khair Karey
8) sheh ke maatam Mey hilaal aisi fizaa goonj uthi
Kyu ye Larzaa Darr o deewaar
khuda Khair Karey
https://www.youtube.com/watch?v=I1X8RLagiMs
4,505 Views