Murshid Ghazi | Nadeem Sarwar
Maula ghazi, maula ghazi..(8)
Ya Ghazi, Ya Ghazi..
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Zainab ki paak dua bankar..(3)
ab ghar ghar par lehrata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..
1. Tera maula ghazi kya kehna
tere darr ki naukri kya kehna
teri karam nawazi kya kehna
tere naam ki haziri kya kehna
jaha’n dastarkhwan ye sajta hai..(2)
us ghar ki shaan badhata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
2. Mai ghum se jab ghabrata hu
to paas alam ke jaata hu
ro ro ke maula ghazi ko
mai dil ka haal sunata hu
mere sar par saaya karta hai..(2)
meri himmat aur badhata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Ya Ghazi, Ya Ghazi..
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi
3. Abbas karam farmao na..(2)
kabhi mojiza ye dikhlao na
mere ghar bhi saja hai tera alam
kabhi mere ghar bhi aao na
sarkaar mere ghar aaenge..(2)
mere dil ki aas bandhata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
4. Ye parcham aman ka naara hai
ye parcham paak sahara hai
tu pyaar kare to tera hai
mai pyaar karu to mera hai
jo iske deep jalata hai..(2)
ye uske bhaag jagata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
5. Zawwar jo ghar se chalta hai
ye uspar saaya karta hai
ghar se ghar tak pohchane ki
abbas zamanat deta hai
laakho zawwar jo chalte hai..(2)
unhe karbobala pohchata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Ya Ghazi, Ya Ghazi..
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi
6. Ha mashk o alam se yaad aayi
pyaas asghar aur sakina ki
mazloom hussain ki tanhayi
zainab bazaar mein kyu aayi
jab paak alam ye uth-ta hai..(2)
har manzar yaad dilata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
7. Jab aath moharram aati hai
ghazi ki yaad dilati hai
jawwad o sarwar ye duniya
abbas ka sog manati hai
us waqt juloos e matam mein..(2)
har matamdaar uthata hai
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Mai naukar, ha mai naukar, ha mai naukar maula ghazi ka
alam mere murshid ghazi ka..(2)
Ya Ghazi, Ya Ghazi..
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi
https://www.youtube.com/watch?v=jVeJRSjqYiI
1,905 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot