Kehti Thi Ye Zainab Se

kehti thi ye zainab se mohamed ki dulaari, mai kya karoon bibi
qismat may judaai ki ghadi aagayi apni, mai kya karoon bibi

taqdeer pe bas nahi chalta hai kisi ka, ek roz hai marna
kya maa ki judaai alam jhel sakogi, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

jab jaayega shabbir mera karbobal ko, maidane wagha ko
jaayegi meri jaan sawaari bhi tumhari, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

qaime mere abbas ke saahil se hatenge, pyase hi rahenge
atfal ki durro se wahan pyas bujhegi, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

tum auno mohamed ko raza marne ki dogi, khamosh rahogi
jab saamne aayegi mohamed ki jawani, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

miljayegi matti may payambar ki nishani, par aye mere jaani
seene may hi ghut jaayega dum ro na sakogi, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

marjayega pyasa labe darya mera saqqa, qasim na rahega
tum bhai hassan ko bhi bahot yaad karogi, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

sar peet-ti rehjaogi tum qaime ke darr par, aur shimr ka khanjar
chal jaayega mit jaayegi hyder ki nishani, mai kya karoon bibi
kehti thi ye….

1,183 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot