Kesi yeh shaam aye aulaad e Sayeeda per
Sajjad ro rahay hain, Zainab say moo Chupa ker
1- aik samt bay kafan hai, bhai Ka aus Kay Lasha
Abbas Ki behen ka, baqi raha na perda
Ab soochti hai Zainab, mangay kafan ya chadar
2- Bazu kahin paray hain, Lasha kahin para hai
Zainab Ki baybasi per, ghazi tarap raha hai
Rooti hai bekasi Bhi, farshay Aza bicha ker
3- jo ghar main do qadam Bhi, paidal nahi chali hai
Aik din main woh hi Zainab, Abbas bun gayi hai
Pehray pay agaye hai, Tanha alam autha ker
4- Sajjad say lippat ker, kehti rahi Sakina
Ehsaas ho raha hai ,main hogaye yateema
Zalim Dara raha hai, naiza dekha dekha ker
5- lashon Kay darmiyaan woh, baba Ko dhoondti hai
Moo apna pait ker yeh, feryaad ker rahi hai
Qadmo mai hi sula do, baba mujhay bula ker
6- jab Agaye Najaf say, beti ko milnay baba
Zano pay rakh Kay sar yeh, kehnay lagi woh dukhiya
Zainab aujar Gaye hai, kerbobala basa ker
7- Khaimon Kay sath jhola, bistar Bhi jal Gaya hai
Namosay Mustafa Ko, baghi kaha Gaya hai
Ley jayeen gay subhaa Ko, qaidi humain bana ker
8- guzray Ki kesi Yawar, maqtal say shahzadi
Abid nay raat momin, yeh soch ker guzar
Zainab Ka naam lay ga, zalim Jo muskura Ker