Kehti hai sakina
(Kehti hai sakina )..(4)
(Alatash ki sada e deti hai)
(Kehti hai sakina)..(2)
(1) Tab tum gaye dariya par,
Wapas nahi aye
pyasa hai mera asghar(a.s)
pyase hai wo pyaree
intezar jo karti ho aao na chacha jaan
(Kehti hai sakina )..(4)
(2) kehti thi phuphi meri,
ayenge chacha jaan
deti thi dilasa mujhe,
meri phuphi amma
sabr karo aye jaan ayenge chacha jaan
(Kehti hai sakina )..(4)
(3) baba nazar ane lage,
aap ka alam bhi
tab bhi meri ek aas,
ammu nahi tooti
afsous hai ammu tum bhi tho na aye na
(Kehti hai sakina )..(4)
(4) ammu tumhare baad,
Kya kya na wo guzre
Shamiyou ne akaar,
Gauhar mere chinee
Kitna muje wo dard pohoncha tha chacha jaan
(Kehti hai sakina )..(4)
(5) ammu hame bahooth
phirwaya gaya tha,
yaad ata hai manzar
tadpayagaya tha
mai tumko bolati rahi tum bhi tho na aye na
(Kehti hai sakina )..(4)
(6) Syed Raza hussain,
Zehra ke azadar
Rizvi jo tumne likha,
Shahzadi ka ye bain
bas khatm kar nisaar ye ghum ye dastaan
(kehti hai sakina)..(4)
alatash ki sadae (deti hai sakina)..(2)