Karbala Walon Pa Jo Guzri Qayamat Aur Hai

Karbala Walon Pa Jo Guzri Qayamat Aur Hai
har payambar par jo aayi wo musibat aur hai

asr tak kya jaane kya ho pyas ki shiddat ka haal
suboh se ashoor ke suraj ki hiddat aur hai
karbala walon….

kat ke sar darul amaara par hai shah ka muntazir
koofiyo muslim ka andaze sifarat aur hai
karbala walon….

kheenchni hai seenaye akbar se barchi ki ani
aakhri ye shahe deen bete ki khidmat aur hai
karbala walon….

rayg-e-zaare garm par chadar bichaate hai hussain
kya kare ke laashaye qasim ki haalat aur hai
karbala walon….

baabe khyber ka uthaana wo shuja-at aur thi
teer khaakar muskurana ye shuja-at aur hai
karbala walon….

dushmanane karbala phir maareka aara hai aaj
majliso matam ki shahid ab zururat aur hai
karbala walon….

509 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot