Karbobala Lahoo Ka Safar Dekhti Rahi

Karbobala Lahoo Ka Safar Dekhti Rahi
maqtal ki simt raah guzar dekhti rahi

maqtal may aediyon ko ragarta raha pisar
aankhon say khoon bahati hui baap ki nazar
barchi may nowjavan ka jigar dekhti rahi
karbobala lahoo….

bayton ne yun khayaal rakha apni baat ka
jaan say guzar gaye na kiya rukh furaat ka
maa apni tarbiyat ka asar dekhti rahi
karbobala lahoo….

lekar aba may aaye jigar ko shahe zaman
laashay ko rakh kay saamne ibne hasan ki ma
dulhan ki chashme tar ke guhar dekhti rahi
karbobala lahoo….

jab qaimagah ja na saka sher laut kar
huzn-o-alam se hazrate abbas-e-naamvar
be-aab mashk khoon may tar dekhti rahi
karbobala lahoo….

jis waqt kayanat ki gardish bhi ruk gayi
qaime ke dar pay maadare muztar khadi hui
paykan-e-hurmala tera shar dekhti rahi
karbobala lahoo….

khanjar ki pyas khoon se bujha kar utha layeen
aaghosh may dareeda badan ko liye zameen
nokay sina pe shah ka sar dekhti rahi
karbobala lahoo….

shahid rakha imam ne ghurbat main bhi lihaz
insaniyat nazar ko jhukaye basad niyaz
zaanu pe sheh ke john ka sar dekhti rahi
karbobala lahoo….

534 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot