Karbala May Roze Ashoora Fiza Tehri Rahi
wo tashnalab ka maujiza tehri rahi
uske daman may na jaane saaniha kya hogaya
aalame sakta may nehre alqama tehri rahi
karbala may….
aagaye mashk-o-alam to qaimagahe shaah may
door saahil par bapa koi fiza tehri rahi
karbala may….
maa phuphi to aagayi ibne hassan ki laash par
fatema sughra bapa bande haya tehri rahi
karbala may….
kya zamane may koi is tarha ki bewa bhi hai
haath may kangan nahi tehre hina tehri rahi
karbala may….
zaalimo ne sar se zainab ke rida to cheen li
haan magar tatheer ki munsif rida tehri rahi
karbala may….
aagayi qaime may wapas sheh ke kehne se rabab
dayr tak qaime ke dar par maa udaas tehri rahi
karbala may….
taaziye uth-thay alam uth-thay uth-tha farshe aza
jis jagah majlis bapa thi fatema tehri rahi
karbala may….