Aate hai za’areen e karbobala
haathon may leke nishan e wafa
matami hai aur dilon may wila
kaale libaas aur shahe aza
lab pe sajaye huwe ye sada
jannat hai roza tera jannat hai poori ye karbobala
ai walla ai walla ai walla hussaina
karbala jannat hai karbala
walla jannat hai karbala
as salam hussain ya hussaina
yabna rasool ya hussaina
as salam hussain ya hussaina
yabna zahra ya hussaina
aaye ziarat ko hum, khaate hai teri qasam
matam ye hoga na kam, aankhein rehegi ye nam
jannat hai roza tera…
shaukhe ziarat jo tha, maula mai paidal chala
khaab ye poora hua, dekha haram to kaha
jannat hai roza tera…
pani tere shehr ka, kausar se meetha laga
uski hawa hai dawa, khaak hai khaake shifa
jannat hai roza tera…
jaye jahan bhi nazar, aaye nazar sar hi sar
khud si bali ya bashar, hai ye sada humsafar
jannat hai roza tera…
ek taraf dar tera, ek taraf ba-wafa
do jannato ki hawa, ashk huwe lab kusha
jannat hai roza tera…
rauze ka husn hai kya, gumbat arshe khuda
fanoose shams o zuha, meenaar auje wafa
aaraishe bam o dar, seera ho jis se nazar
nasb hai dewaar par, jaise ke sham o qamar
jannat hai roza tera…
haye qateel e jafa, tu yahan pyasa raha
mujhko sare karbala, koi na pyasa mila
ay mere tashnadahan, tu to raha be-kafan
jaate hai log watan, le ke yahan se kafan
jannat hai roza tera…
haye shahe karbala, haye qateel e jafa
za’airon pe tere, ek wo waqt tha
haath pairon ko katwake bhi ba-khuda
tere rauze pe aate thay ahle aza
tujhpe fida kar diye, maa’on ne haste huwe
ghar may thay kitne diye, bas yehi kehte huwe
jannat hai roza tera…
farhan o mazhar kaho, dunya ko paigham do
rauzaye sheh pe chalo, aur yehi kehte raho
jannat hai roza tera…