Hussain Kal Bhi Tha
hussain kal bhi tha mazloom aur aaj bhi hai
sitam ki zid pe hamara imam aaj bhi hai
aza ke farsh ka hal min payam aaj bhi hai
hussain kal bhi….
nazar may phirte hai karbobala ke sab manzar
zameen pe bikhra hua tha hussain ka lashkar
kahin kate hue bazu kahin kate hue sar
gali gali may wohi qatle aam aaj bhi hai
hussain kal bhi….
juloose girya-o-matam pe zulm itne huve
sitam ke maare hue ab khoon may doobe huve
barasti dhoop may maon se bache litpe huve
sawaal karte hai kya fauje sham aaj bhi hai
hussain kal bhi….
huve thay jis tarha qasim ke laash ke tukde
shaheed hote hai yuhin ghulam qasim ke
janaze unke bhi kandhon pe uth nahi sakte
ye gathriyon ke kafan ka nizam aaj bhi hai
hussain kal bhi….
hussain kehtepe zainab ko taziana laga
phir uske baad na aziyat ka silsila na ruka
usi ko maar diya jisne ya hussain kaha
yazeed zadon ka jaari wo kaam aaj bhi hai
hussain kal bhi….
imame asr ki faryaad ab bhi hai akbar
zamana hogaya veeran fatema ka hai ghar
lahoo ke ashk bahata hai abide muztar
mere gharane pe ghurbat ki shaam aaj bhi hai
hussain kal bhi….
830 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot