Jaltay Hue Qaimo May Sada Gounj Rahi Hai

Jaltay Hue Qaimo May Sada Gounj Rahi Hai
abbas abbas abbas ab aao

ye lashkar e bay deen rida cheen raha hai
saidaniyo pay shimr ki durra say jafa hai
abbas abbas abbas bachao

na mehramo ka majma hai aur ham hain khulay sar
gheyre huey hain dushman e deen’ aur sitamgar
abbas abbas abbas hatao

zaalim hamay lachaar samjhtay hain baradar
nayzo ki chubotay hai ani pusht pay aaker
abbas abbas abbas bachao

dur baali sakina ke sitamgar nay utaray
rukhsaar pay bejurm tamachay bhi hai maaray
abbas abbas abbas bulao

zid karti hai soti nahi roti hai sakina
aagosh tumhari hai na hai baap ka seena
abbas abbas abbas bulao

aada ne jala dala bayaban main maskan
jalta hai sakina ka teri aag say daaman
abbas abbas abbas bujhao

ay kaash anees itna hi ban jaye muqaddar
dekhun zareeh e shah e abrar ka ja kar
abbas abbas abbas bulao

2,281 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot