Innal-lilaah

innal-lilaah
karbobala aur aale aba
charo taraf hai fauje jafa
darya pa bhi hai pehra laga
pyase hai atfale shaah
qalbe fitrat de ye sada
innal-lilaah….

wo garmi wo pyase bache
bali sakina kehti thi sab se
ammu gaye hai nehr pe mere
maango dua pani aajaye
lekin aisa ho na saka
innal-lilaah….

khaali alam jab qaime may aaya
boli sakina kahiye baba
reh gaye ammu kya labe darya
gharne urahe shaahe wala
keh na sake kuch iske siwa
innal-lilaah….

sunke kalaame sarware deen
saaniye zehra kehti thi
haaye mera abbas nahi
hogaya mujko iska yaqeen
jaayegi mere sar se rida
innal-lilaah….

ran ko chale jab qaime se akbar
zainab aayi qaime ke dar par
umme laila kehti thi ro kar
maa se to milne aaoge dilbar
sar ko jhuka ke sheh ne kaha
innal-lilaah….

zere aba ek maahe munawar
maidan may laaye hai sarwar
pani maanga rodiya lashkar
haste sheh par has pade asghar
gardan may jab teer laga
innal-lilaah….

mohsin mai ye sochta hoo
pursa bano ko kaise doo
behkar hai khamosh lahoo
honton se kuch bhi na kahoo
aankhon bolay rizan be khaza
innal-lilaah….

1,776 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot