Embark on a Spiritual Odyssey: Join Our Journey from Iran to Iraq.

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab
Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab Ay Shehre Madina
abid ko kisi tarha bacha laayi hai zainab ay shehre madina

 

bandwake rasan haaton may aur khutbe sunaake ghar baar lutaake
dewaar bade kufr ke dha aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

jis shehr may shehzaadiyo ki tarha rahi thi naazon se pali thi
sar nange usi shehr may ho aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

jo hijre padar may rahe har waqt pareshan soyi nahi ek aan
us bachi ko zindaan may sulaa aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

dhaaras thi bahot bhai ko jis bhai ke dam se dil phat-ta hai gham se
saahil pe akela usay choad aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

cheh maah ke asghar ko bhi jhoole ke bajaaye dukh dard chipaaye
aaghosh may turbat ke sulaa aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

thay auno mohammad jo meri aankhon ke taare mamu ke dulaare
qurbaan unhe bhai par kar aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

tha akbare nashaad jo is ghar ka ujaala wo gaysuon wala
marqad may akela usay choad aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

naadim hai bahot laa saki qasim ko na humra wa hasrato darda
kubra ko magar saath liye aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

pani jo piye ehle watan pyaas na bhulay moo ashkon se dholay
kehne ko ye bhai ka payaam aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

manzar wo bhula sakti nahi ta dame aakhir hai kehne se qaasir
jo shaam ke darbaar may dekh aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

kis waqt khuda jaane qadam nikle thay ghar se chaadar chini sar se
ab tak na masayab se nikal paayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

shabbir pe ab royega ta hashr zamana hai gham ka fasana
majlis ki bina shaam may daal aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

rehjayega akhtar ufaqe gham pe tera naam kya khoob hai inaam
nowha tera sun-ne ke liye aayi hai zainab ay shehre madina
jangal may bhare….

 

11,436 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot