Itrat-e-Athaar Ke Ghamkhwar

Itrat-e-Athaar Ke Ghamkhwar Ashaab-e-Hussain
lashkar-e-abbas ke jarrar ashaab-e-hussain

jab charag-e-qaima-e-shah-e-shaheeda gul hua
kya habeeb ibn-e-mazahir kya zaheer-o-ausaja
josh-e-nusrat may har ek chehra munawwar hogaya
karbala may hain falak aasar ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

raat bhar mehve talaya hai haram ke pasba
har qadam par nara-e-takbir hai vird-e-zabaan
mashvaray baham yehi ke kis ki jaaye pehley jaan
hai shab-e-aashur se taiyyar ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

koshishay ye hai ke hamla ho to aagay hum berhain
taygh ke johar dikhaye sab se pehle hum laday
lashkar-e-aada ki nazray bhi na qaimo par paday
azm may hai aahani devar ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

hur azaan-e-subh par aaye haraval hogaye
khoon ki surkhi se apni sab khatayein dho gaye
mil gaya rumaal-e-zehra neend aayi sogaye
dasht-e-ghurbat may bhi hai meyar ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

rok laynge apne seeno par har ek zarb e laayein
aap padhiyega namaz ay sarwar-e-duniya o deen
ham namaz-e-zuhr padh lainge sar e khuld e bareen
keh rahe hai ye basad israr ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

waqt-e-naza john ka sar apne zanu par rakha
martaba ek ye bhi aaqa ne ghulamo ko diya
aagayi khushbu lahoo may jism raushan hogaya
maut se hai kis qadar sarshaar ashaab-e-hussain
itrat-e-athar ke ghamkhwar ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

qaima-e-shabbir may ab be-zaban koi nahi
qabr-e-asghar dhoop may hai saayeba koi nahi
shah-e-deen maqtal may hain aur meherba koi nahi
kash ji utthay faqt ek bar ashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

berida hai bibiya shahid sar-e-bazaar-e-shaam
ruk na jaye shiddat-e-gham se kahin nabz-e-imam
peysh hongay sab haram ab bar sar-e-darbar-e-aam
aur udhar maqtal may hain lazhaarashaab-e-hussain
itrat-e-athaar….

441 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot