Dekhe To Koi Raunaq Maqtal May Zara Aake

Dekhe To Koi Raunaq Maqtal May Zara Aake
shabbir ke aane se din phirgaye sehra ke
dekhe to koi….

qaimay say janaze ki ruqsat ka sa manzar hai
aayenge na phir akbar maidan may ab ja ke
dekhe to koi….

pamaal sumay aspa aisa na hua koi
bikhray hoey tukde hai har simt may dulha ke
dekhe to koi….

ay azm talab ghazi ab koi nahi baakhi
abbas zara aansu ruk jane to do aaqa ke
dekhe to koi….

ammu ke kabhi qissay baba ki kabhi baatein
bachi ko sulaati hai zainab yehi behlaake
dekhe to koi….

zainab ki sada sunkar khanjar talay sajde se
qaimay ki taraf dekha shabbir ne jab aake
dekhe to koi….

shahid ye azakhane veeran nahi hongay
ta-hashr bhi gar dushman maare hamein aa aa ke
dekhe to koi….

423 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot