Is Jawaan Ki Magar

is jawan ki magar baat hi aur hai
naaze har do jahan sheh ke lashkar may hai
saare shere jehan sheh ke lashkar may hai
kitne aburu kama sheh ke lashkar may hai
kaise kaise jawan sheh ke lashkar may hai
is jawan ki magar….

un may hyder ke sarway sahi khad bhi hai
baaghe muslim ke saywo bahi khad bhi hai
madame haq ke lal o zabar jad bhi hai
yun to qasim bhi aun o mohamed bhi hai
is jawan ki magar….

kaun hai jaan ko jisne waara nahi
kaun hai jo ke aankhon ka taara nahi
kaun hai jo shahe deen ko pyara nahi
kisne ghoday se gir kar pukaran nahi
is jawan ki magar….

kisne sheh se bala-on ko taala nahi
khud ko dushman ki faujo may daala nahi
kaun hai jo ke ghar ka ujaala nahi
kaun hai jisko zainab ne paala nahi
is jawan ki magar….

khaake tayghe giray ran may kya kya haseen
laash par jinki tanha gaye shahe deen
kaamp utha falak aur larzi zameen
bibyan phir bhi qaime se nikli nahi
is jawan ki magar….

kisne zakhme sina dil pe khaya nahi
kisne seene ko chalni banaya nahi
kiske laashe ko sheh ne uthaaya nahi
haath lekin behan ne bataya nahi
is jawan ki magar….

ran may har aisa tha shireen zaban
jiske lehje pe dawood bhi dede jaan
inmay jisko bhi kehte shahe ins o jaan
subhe ashoor wo badhke deta azan
is jawan ki magar….

1,859 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot