shah ki laadli jab qaidiye zindan hui
royi ghabrayi bahot aur pareshan hui
qaid khane ki ghutan maut ka saaman hui
jaan lagta tha ke masoom ki bejaan hui
laash shabbir ki maqtal may tadap jaati thi
qaid khane se bachi ki sada aati thi
ab mujhe koi sakina nahi kehta baba
qaidi kehta hai koi koi yateema baba
mai bayan kaise karoo apni musibat tumse
kya karoo apne tamachon ki shikayat tumse
sunti hoo dadi ne khaya tha tamacha baba
ab mujhe koi…
neel rukhsaron pe beenyai bhi jiski kam ho
umr ho chaar baras aur kamar may kham ho
aap ne dekhi hai kya aisi zaeefa baba
ab mujhe koi…
khoon e baysheer se andaza kiya tha maine
aap ka chehra to pehchan liya tha maine
aap pehchanoge kaise mera chehra baba
ab mujhe koi…
aap thay door to mai saare sitam sehti rahi
ro padi koofe ke darbar may mai seh na saki
aap ke saamne jab shimr ne maara baba
ab mujhe koi…
wo to bemaar thi mar jaati safar may aake
dafn karte usay bazaar may bhaiya kaise
ye to acha hua aayi nahi sughra baba
ab mujhe koi…
meri aankhon se bahe jaate thay aansu us dam
haath bhi maine lagaya nahi dadi ki qasam
dena chaha tha mujhe logon ne sadqa baba
ab mujhe koi…
us ghadi dhoond rahi thi mai chacha jaan ka sar
kaise batlaun ke kya guzri teri beti par
mujhko zaalim ne kaneezi may jo maanga baba
ab mujhe koi…
bayn ye karte hi khamosh hui wo akbar
aaj to jayenge saath apne mujhe bhi lekar
aap ko meri qasam ki jiye wada baba
ab mujhe koi…