utra jo aasman se mehzar ba shor-o-shain
baitush sharaf may goonj uthay sayyeda ke bain
farmate thay habeebe khuda shaahe mashraqain
hussaino minni wa ana minal hussain
karbobala may mera pisar maara jaayega
pyasa rahega boond na pani ki paayega
ansar-o-aqraba ki ye laashe uthaayega
islam ko bachayega mera ye noore ain
hussaino minni….
has kar sahega ye har ek ranj-o-malaal ko
jhoole se leke jaayega bano ke laal ko
pani magar na dega koi naunehal ko
pyasa hi maara jayega asghar sa noore ain
hussaino minni….
sar sabse aagay naize par hoga hussain ka
gar bhai bekafan to behan hogi berida
darbar may yazeed ke jaayega khaafila
zainab dayare shaam may banjayegi hussain
hussaino minni….
ye sunke boli fatema zehra duhaai hai
farte alam se aankhon may tareeki chaayi hai
baba khabar ye aap ne kaisi sunaayi hai
paata nahi mera dile dard mand chain
hussaino minni….
phir sayyeda ne poocha ay taaje sire yaqeen
kahiye abul hassan bhi to hongay wohi qareeb
mai aur aap hongay kaha koi bhi nahi
na mai na tum na hongay ali faatahe hunain
hussaino minni….
mohsin ye sunke fatima zehra hui malool
roohul ameen pukaare ke keh-dijiye rasool
ek qaum khalq hogi ba-andaaze buey gul
ta abad jo royegi kehkar hussain hussain
hussaino minni….