haye sakina haye pyaas
khoon may dooba hua
dekh kar khaali alam
ek kohram macha
bache khamosh huwe jab sakina ne kaha
pani maange na koi roke sakina boli
paas baba ke mere doosra abbas nahi
ilteja hai ye meri koi pyasa na kare
shikwa-e-tashnalabi
paas baba ke…
mere baba se inhe door hatado bachon
khaali koozo ko kahi jaake chupado bachon
dekh kar khusk inhe wo na mehsoos kare
apne bhai ki kami
paas baba ke…
kaash pani ke liye unse na kehti aakar
kya khabar thi ke nahi aayenge ammu jaakar
sharm aaati hai mujhe dekh kar tooti kamar
jaan nikalti hai meri
paas baba ke…
mujhko ehsaas na ho apne chacha ke gham ka
isliye rotay nahi saamne mere baba
jaanti hoo mai magar ke mere baba par
kya qayamat guzri
paas baba ke…
dekh halmin ki sada dasht se aayi asghar
itna ehsaan to kar behan pe bhai asghar
uthja baysheer mere baandhle sar se kafan
ab zaroorat hai teri
paas baba ke…
jis se dhaaras thi tujhe kat gaye baazu uske
teer-o-talwar hai aur tanha hai baba tere
aana mushkil hai watan koi umeed nahi
kehde sughra se koi
paas baba ke…
karbala kaamp gayi kaisi takallum thi ghadi
dekhti thi wo kabhi baap ko darya ko kabhi
sheh pe chalti thi churi bachi ye kehti hui
khaak par baith gayi
paas baba ke…
4,271 Views