Itna muqa ali akber ko qaza ne na diya
Maa’n tadpti rhi dulha bhi bnane na diya
Jane kiya soch ke seene se ali akber ne
Hath baba ko bohot der htane na diya
Lashe akber pa ye kehti thi tadap kr laila
Fayeda koi tujhe maa’n ki Dua ne na diya
Le gyi cheen ke baba se ajal akber ko
Khat bhi humsheer ka bhai ko sunane na diya
Baap sharmindah hai is aalam e ghurbat ne mujhe
Chand qatre tujhe paani bhi pilane na diya
Lag gayi mout ki bhar por jawani me nazar
Haye taqdeer ne sehra bhi sjaane na diya
Mout se sirf rahega ye gila akber ko
Jo tha sughra se wo wada bhi nibhane na diya
Kese utthega zaifee me janaza iska
Baap ko jisne kbhi ranj uthane na diya
Lag gaya chand ko laila ke gehn maqtal me
Maa’n ke armano ko prwaan chdhane na diya
Keh ke roti thi yehi Aamir o Akhter ik maa’n
Kon sa zakhm mujhe karb o bala ne na diya