Merey Mola Ali (AS) ko jis gari ayi kaza hogi
Nahi kyu boltey baba bulati hai tumhey Zainab (SA)
Ke sarey dard gurbat ke sunati hai tumhey Zainab (AS)
Tumharey bad sar par ab, yateemi ki rida hogi
Merey Mola Ali (AS) Ko Jis Gari Ayi Kaza Hogi
Baroz e eid kalmago, bohot khushiya manaeygey
Tumharey gham mein ham baba magar ansu bahaeygey
Batao eid kya baba, yateemo ki bala hogi
Ali (AS) ki lash par Kulsoom (SA) , ye ro ro kar farmaye
Kya us beti ka jeena hai wo jIska bap marjaye
Ye sun beyn dukhtar ka, tarapti Syeda (SA) hogi
Abhi to maa k sadmey sy na bacho ko sakoon aya
K teri moat ney phir sy hamarey dil ko tarpaya
Yu lagta hai k ab ham pey sitam ki inteha hogi
Rida sar par nahi hogi sharabi humsafar hogey
Sina ki nok pey baba tumharey hum pisar hogey
Jahan bi jaygi Zainab (AS) wahan pey karbala hogi