Zehra Pusra Lo Bahattar Ka

Karbal ki kahani jab koi bhi sunayega
Dil walon ki aankhon se ek darya baheyega

Wo qafela Sarwar ka jo shaan se nikla tha
Sughra ko khabr kya thi na laut ke aayega
Zehra Zehra pursa lo bahattar ka

Tooti hai qamar sheh ki ghabra na magar Akbar
Farzande nabi teri mayyat ko uthayega
Zehra Zehra akbar ka bhi pursa lo

Pamaal hua qasim jab ghodon ki tapon se
Kis tarha chacha teri mayyat ko uthayega
Zehra Zehra qasim ka bhi pursa lo

Tha hathon ke katne ka kuch gham na dilawar ko
Saydaniyo ka parda ab kaun bachayega
Zehra Zehra abbas ka pursa lo

Rotay thay Ali Asghar jhoolay may na sotay thay
Madar ko khabar kia thi ik teer sulaye ga

Mehman bulaye hay aey Koofiyo Sarwar ko
Kia kunba Sheh e deen ka pani bhi na paye ga

Sarwar ne uthaye thay sab saathiyon ke laashe
Shabbir tera laasha ab kaun utheyga
Zehra Zehra shabbir ka pursa lo

7,956 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot