Ghar Se Ali Ke Ruqsate Khairunnisa Hui

Ghar Se Ali Ke Ruqsate Khairunnisa Hui
maula-e-kayanat se zehra juda hui
ghar se ali ke….

zehra ko ek pal bhi sukoon ka na mil saka
baade rasool us pa wo joro jafa hui
ghar se ali ke….

hasnain bhi udaas hai hyder bhi malool
kaabe ke bamo-dar pe jo raunaq thi kya hui
ghar se ali ke….

zainab ke sar pa saayae zehra nahi raha
beti abhi se dehr may kya berida hui
ghar se ali ke….

fizza tadap ke kehti hai sar apna peet kar
ruqsat jahan se khalq ki haajat rawa hui
ghar se ali ke….

mohsin shaheed hogaye dar is tarha gira
yan karbala se pehle hi ek karbala hui
ghar se ali ke….

kiska janaza uth-tha hai tareek raat may
din may usi ki laqte jigar berida hui
ghar se ali ke….

maula ka ghar ujad gaya zehra guzar gayi
akhtar na pooch kaisi qayamat bapa hui
ghar se ali ke….

615 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot