Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar

Farmate Thay Ye Sayyede Abraar, Abbas Alamdar
ay lashkare islam ke salaar, abbas alamdar

hai kaun tere baad nigehban harram ka
batlao to waris hai bhala kaun alam ka
uthega kahan daag o bala ranjo alam ka
hai kaun mera madadgaar, abbas alamdar….
farmate thay….

ruqsat jo hue hazrate shabbir harram se
thehre hain harram lipte hue shahe umam se
ek bachi bhi lipti hui thi sheh ke khadam se
thay ghash may udhar abide bemaar, abbas alamdar….
farmate thay….

zakhmo se badan choor hai aur haal hai muztar
kis tarha tanha mujse uthe laashaye akbar
aao meri imdad ko ay mere biradar
tum ho pisare hydere karraar, abbas alamdar….
farmate thay….

lejayega kumbe ko mere shaam ka lashkar
sar nange harram jayenge darbaar may kyon kar
ek ek se faryaad karegi meri khaahar
bemaar mera khaafila salaar, abbas alamdar….
farmate thay….

rehjayegi beyaro madadgaar sakina
kis tarha sahegi bhala aazaar sakina
ab hogi na pani ki talabgar sakina
darya se ab aajao wafadar, abbas alamdar….
farmate thay….

hum ahle aza karte hai shabbir ka matam
is gham se nahi badke hume aur koi gham
bas saaya figan sar pa rahe aap ka parcham
kehlaate hai hum aap ke ghamkhar, abbas alamdar….
farmate thay….

pudil se mere door nahi aap ka rowza
rehta hai mere seene may ek dard ka darya
daala hai isi mauj may nowhe ka areeza
mehshar bhi ek adna azadaar, abbas alamdar….
farmate thay….

940 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot