goonj rahi hai ye sada ya hussain
tujhko layeeno ne sataya hussain
ya hussain, ya hussain
teen shabo roz ka pyasa hussain
dashte bala may tujhe maara hussain
ya hussain, ya hussain
bayyate fasiq ke talabgaar thay
zulmo sitam ke liye tayyar thay
kitne tere sar ke khareedar thay
tune magar sar na jhukaya hussain
ya hussain, ya hussain
bhej ke khat tujko bulaaya gaya
tera watan tujse chudaya gaya
khabr se nana ki hataya gaya
paykare tasleemo raza ya hussain
ya hussain, ya hussain
karbobala ghayr ke laaye tujhe
tere azeez akhroba saath thay
nehr se qaime bhi hataye gaye
uzr zara bhi na hua ya hussain
ya hussain, ya hussain
dasht may thodi si jagah mil gaye
aamade aada se zameen hil gaye
aur nazar jab sue saahil gaye
us pa layeeno ka tha pehra hussain
ya hussain, ya hussain
kya shabe aashoor ka hangaam tha
saara jahan larza barandaam tha
tujhko ibadat se faqad kaam tha
karta raha zikr khuda ka hussain
ya hussain, ya hussain
suboh dahum ka ho bhala kya bayaan
dene laga jab tera akbar azaan
jaise thi awaaze nabi begumaan
karbobala thi ke madina hussain
ya hussain, ya hussain
fauje hussaini may bada josh tha
tune bhi pyaso ko sahara kiya
saaniye hyder lo alam dediya
sab ne unhe faqr se dekha hussain
ya hussain, ya hussain
suye imam ek namazi barha
dil se basad shaan e niyazi barha
fauje udoo se hure ghazi barha
aake qadam-bosh hua ya hussain
ya hussain, ya hussain
haaye muhibbe shahe aali maqaaam
jinka habib ibne mazaahir hai naam
zainabe dilgeer ne bheja salaam
tumne gale unko lagaya hussain
ya hussain, ya hussain
phir to ajab hashr bapa ho gaya
ek ke baad fida hogaya
dekhte hi dekhte kya hogaya
ab koi nasir na raha ya hussain
ya hussain, ya hussain
saaniye zehra ka bura haal tha
jab ke tadaruk na koi ban pada
auno mohammad ko fida kar diya
us pa bhi tu bach na saka ya hussain
ya hussain, ya hussain
madare qasim ka jigar dekhiye
jazbaye emaan ka asr dekhiye
bhej diya ran may pisar dekhiye
jo hua pamaale jafa ya hussain
ya hussain, ya hussain
hazrate abbas bhi marne chale
nehr par jarraar ke baazu kate
thaam ke aap apni kamar reh gaye
hogayi chup roke sakina hussain
ya hussain ya hussain
hogaye ruqsat ko shabihe rasool
ab shahe bekas thay bahot dil maloool
aayi kahin se ye sadaye batool
mai teri himmat pe fida ya hussain
ya hussain ya hussain
asghar-e-baysheer pe jaane fida
khainchay hue teer barha hurmala
khasta kalaame shehe wala hua
suye falak aap ne dekha hussain
ya hussain ya hussain
dhal gaya din aur qareeb aayi shaam
phir to akele thay imame anaam
dediya sar khatm kiya apna kaam
deene nabi khoob bachaya hussain
ya hussain ya hussain