Ek Luta Qaafla Safar May Hai
har qadam karbala nazar may hai
qalb may sab ke daag-e-akbar hai
aur nazro may zakhm-e-asghar hai
paas shehrag ke kund khanjar hai
khushk honto pa naam-e-haider hai
maqsad-e-shahe deen nazar may hai
ek luta qaafla….
qaaflay may bohat se bachay thay
gyarvee ko jo karbala se chalay
raasto may giray thay oonto se
is tarha say ke phir kabhi na uthay
maut ki gunj reh guzar may hai
ek luta qaafla….
qaaflay may hain aisi maayein bhi
godh ujdi chini ridayein bhi
ab to lab par nahi duayein bhi
sogaye thak ke sab sadayein bhi
bas dhuva hi dhuva nazar may hai
ek luta qaafla….
ek beemar qafla salaar
tauq-o-zanjeer ka uthaaye baar
maao behno ka saath aur bazaar
aakhri marhala bhara darbaar
sabr hi sabr rahbar may hai
ek luta qaafla….
raunaq-e-qaafla thi ek bachi
baap ko yaad kar ke jab roti
us ko is jurm ki saza milti
zulm itna hua ke ji na saki
ab wo bachi andhere ghar may hai
ek luta qaafla….
ho chuki jab tamaam rusvai
yaani islam ki maseehayi
qaafla le ke sheh ki maa jaayi
lut ke nainava ki simt aayi
asr-e-aashur chashm-e-tar may hai
ek luta qaafla….
jab madinay ko jayega kunba
hongi shahid qayamate barpa
sochti hai ye zainab-e-kubra
kaise sughra ka saamna hoga
shakl sughra ki bas nazar may hai
ek luta qaafla….