Ek Riwayat May Hai Ke Baade Aseeri Sajjad
pahunche hijaaz se jab maaria may zainuliba
dekha ke qabre wahan khodte hai kuch afraad
baqi masroof hai dafnane may karke faryaad
aapne laashaye farzande nabi dafnaya
qabr may laashaey abbas ko bhi pohanchaya
yan qabeela asad karta hai is tarha bayan
qabr se jab na chacha ki hue sajjad ayan
humko tashveesh hui qabr may dekha jo wahan
laash se lipte hue karte hai sajjad fughan
aap ke baad chacha aisi tabahi aayi
qatl baba hue maare gaye saare bhai
haye chacha abbas, haye chacha abbas
koi nahi hai paas, haye chacha abbas
baad tumhare amme dilawar
barchi se cheda seenae akbar
laasha uthakar laaye sarwar
gham se bapa tha qaime may mehshar
haye chacha abbas…..
asghar pe tha pyas ka ghalba
pani pilane legaye baba
ahle jafa ne rehm na khaya
pani ke badle teer lagaya
haye chacha abbas…..
ran may banakar turbate asghar
sar ko jhukaye behad muztar
aaye shahe deen qaime ke dar par
haal ye tha pehchani na qahar
haye chacha abbas…..
baba ne dekhi jo ye haalat
dil bhar aaya hogayi riqqat
naam har ek ka leke ba ulfat
kehne lage hai tumse bhi ruqsat
haye chacha abbas…..
sunke phuphi awaaze biradar
lipat gayi majaaye se jakar
farmaya phir bhai se rokar
haal hai ye kis waaste abtar
haye chacha abbas…..
sibte nabi tab farmaya
asghar ne ek nawak khaya
khoone pisar chehre pa lagaya
ran may usay maine dafnaya
haye chacha abbas…..
kaise kahoon ay sheh ke biradar
chal gaya halqe shah pe khanjar
jal gaye qaime aur mera bistar
chin gayi maa behno ki chadar
haye chacha abbas…..
koi anees apna nahi baaqi
aada ne mujko pehnayi
tauqe salasil hatkadi bedi
jakdi rasan se zehra ki jaayi
haye chacha abbas…..