Haye Asghar Kya Karoon Ay Jane Madar Kya Karoon
thi ye bano ki fughan dunya may reh kar kya karoon
maut ne barbad kardala mera ghar kya karoon
hai rage jaa ke liye har sans nashtar kya karoon
hasrato ka dil may ek barpa hai mehshar kya karoon
haye asghar….
ay mere noore nazar tumko agar paungi mai
dekhlena raat bhar seene se liptaungi mai
surk phoolon se chaman gulshan ke mehkaungi mai
ab na bhejungi tumhay mai ghar se baahar kya karoon
haye asghar….
tum samajhte ho yahan se apne ghar jaungi mai
chor kar tanha tumhay beta kidhar jaungi mai
qabr se takrake sar jangal may mar jaungi mai
phayr loon kyon na gale par apne khanjar kya karoon
haye asghar….
kuch nahi tumko khabar sheh ka makaan loota gaya
sayedde abrar ka ran may makaan loota gaya
dashte ghurbat may hussaini kaarwan loota gaya
ab na akbar hai na abbase dilawar kya karoon
haye asghar….
maut ne khud loriya di neend laane ke liye
ran may aaye zalzale jhoola jhulane ke liye
tum chale maidan may kaise teer khane ke liye
ab tumhay turbat se gehware may laakar kya karoon
haye asghar….