Darbar May Ye

darbar may ye kehti thi zahra ki laadli
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi

zaalim hai haath jod ke ye ilteja meri
mat maar tu…

jis din se hum aseer hai maa saath saath hai
chehre pe ab hussain ke amma ka haath hai
zahra sare hussain se lipti hai is ghadi
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

jalti zameen pa fatema ke dil ke chain ko
ye zibha hote dekh chuki hai hussain ko
mazloom ki hai saamne beti khadi hui
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

ek baar bas aseer saron par nigaah kar
ghazi tadapta hai tere har ek waar par
tadpa raha hai kyun usay marne ke baad bhi
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

zulm o sitam se tera agar dil nahi bhara
le khahare hussain se badla hussain ka
dele kuch aur mujh ko saza taaziyano ki
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

zulfein pakad ke pusht se kaata gaya ye sar
khooni ke ghar tanoor may rakha gaya ye sar
aisi bhi kya nabi ke nawase se dushmani
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

pehle hi sar hussain ka zakhmi hai dekh le
hum se zyada wo sar e shabbir ne sahe
bazaar may jo barse thay pathar abhi abhi
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

is sar se ek baal bhi toota kabhi agar
maa raat bhar tadap thi pehlu may baith kar
zaalim chala na qalb pe amma ke phir churi
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

binte ali ka mir takallum tha ye bayan
ab aur le na meri khamoshi ka imtehan
ye lab hilay to hogi qayamat bapa abhi
mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
darbar may ye…
mat maar tu…

804 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot