Dasht May Ibne

haye qasim haye qasim
dasht may ibne hassan par waqt kaisa aagaya
ek ghatri may faqat qasim ka laasha aagaya
dasht may ibne…

chaar kaandho par janaza ghar may aata hai magar
ek hi kaandhe pe ye iska janaza aagaya
dasht may ibne…

jis tarha chunta hai maali phool apne baagh ke
tukde yun qasim ke chun-ne mera maula aagaya
dasht may ibne…

choom kar taawiz sarwar dayr tak rotay rahe
bhai ke lafzo may jaane yaad kya kya aagaya
dasht may ibne…

aagayi baraat ran se ro ke fizza ne kaha
bibiyo tazeem ko uth jao dulha aagaya
dasht may ibne…

laash ko tarteeb jab dene laga zahra ka laal
baarha maula ki aakhon may andhera aagaya
dasht may ibne…

baap ka taweez tha bete ke baazu par bandha
is liye pehchan may qasim ka laasha aagaya
dasht may ibne…

matami ke ghar may akbar jab koi dulha bana
yaad sab ko karbala walay ka sehra aagaya
dasht may ibne…

1,071 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot