Chaadarein Maangi

chaadarein maangi to har shehr aaye pathar
binte zehra ne kahan par nahi khaaye pathar

sar jhukaye huye roti hai ali ki beti
aur layeen haste hai haaton may uthaye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

kya kareemi hai ke bazaar may chalte chalte
khoone sajjad ne yaqoot banaye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

haath to tere pasay pusht bandhe thay zainab
kaise phir bhai ke laashe se hataye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

ye to insaf nahi jisne bachaya islam
uski beti bhare bazaar may khaye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

taane de de ke kiya zakhmi dile zainab ko
haye kuch musalmano ke jab haath na aaye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

tera bhai na raha binte ali haye ghazab
warna mumkin tha koi tujpe uthaye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

khoon tapka tha sare shaah se us par sajjad
khoon phir kaise halab may na bahaye pathar
binte zehra ne…
chaadarein maangi…

851 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot