Sogaya lashkar ay shame ghariban
bibiyan rehgayi
Jalte huve qaimo ki bujhti raakh par
bibiyan rehgayi
Dil se lagaye daagh bahattar nauhagar
bibiyan rehgayi
Sham e ghariban se kuch pehle
jhoola chaadar bistar tha
pehlu may hamshakle payambar
godh may maa ki asghar tha
godhiyan khaali maange ujri be-pisar
bibiyan rehgayi
jalte huve qaimo ki….
Ha ye abu talib ka kunba
betiyan saari hyder ki
azmate zehra azmate maryam
izzat thi payghambar ki
chaadarein maangti name payambar dar-badar
bibiyan rehgayi
jalte huve qaimo ki….
Dhalta suraj soch raha hai
waqte sahar kya manzar tha
mehwe ibadat zere alam
shabbir ka sara lashkar tha
sogaya lashkar jaagne wali raat bhar
bibiyan rehgayi
jalte huve qaimo ki….
Darya maujein maar raha hai
pyaas abhi tak baaqi hai
shayad ghazi laut ke aaye
aas abhi tak baaqi hai
dekh zara zainab ke baradar jaag kar
bibiyan rehgayi
jalte huve qaimo ki….
Koi nahin jo poochle aakar
kya huvi zainab teri chaadar
tere to thay athara baradar
kyun hai akeli pehre par
humsafar maqtool huve sab humsafar
bibiyan rehgayi
jalte huve qaimo ki….
Socho zara rehan o sarwar
sham e ghariban ka wo manzar
chaak girayban aaye jo hyder
dekh ke zainab ko pehre par
rodiye hyder qaime maqtal dekh kar
bibiyan rehgayi
jalte huve qaimo ki….