Bhaiya Mujhe Bhool Na
sab phoolon ke gehne may sawari dulhan aaye
tum jaise ho bas waisi hi pyari dulhan aaye
sar pe agar sehra sajana, haat pe kangna jo bandhana
bhaiya mujhe bhool na jaana
fathima sughra ne ye akbar ko likha hai
bhai salamath raho behna ki dua hai
baade dua dil may ye armaan bapa hai
masnade shaadi jo bichaana
bhaiya mujhe bhool….
baba ki aaghosh may mai bhi to pali hoo
bhaiya teri ungli pakadkar mai chali hoo
kyon mai teri chao se mehroom rahi hoo
baba ki jab chao may jaana
bhaiya mujhe bhool….
baba se kehna ki meri jald khabar le
toot na jaaye kahin baba meri saansein
kat-ta nahi din na guzarti hai ye raatein
khat mera baba ko sunaana
bhaiya mujhe bhool….
bhaiya tere baad jo din eid ka aaya
eid ke din eidi may gham maine hai paaya
mujko bhare ghar ki judaai ne rulaaya
dukh ye mera sab ko bataana
bhaiya mujhe bhool….
sunti hoo karbal ki bahut garm hawa hai
amma se kehna ke ye sughra ne kaha hai
phool sa asghar jo mera saath gaya hai
dhoop se jab usko bachaana
bhaiya mujhe bhool….
behno ka dil jaane jigar hota hai bhaai
aankhein teharti hai jidhar hota hai bhaai
mere tadapne ka asar hota hai bhaai
tum ho jahan mujko bulaana
bhaiya mujhe bhool….
bhaiya mujhe rehta hai har waqt ye ehsaas
bhool gaye kya mujhe mere chacha abbas
haye alam haye sakina ho mere paas
aas meri tod na jaana
bhaiya mujhe bhool….
amma se kehna ke sakina ki qasam hai
faasla ab khabr se bemaar ka kam hai
dayr na karna ke mere honton pe dam hai
haath dua ko jo uthaana
bhaiya mujhe bhool….
haaye khate sughra ke aakhir may lika tha
acha mere bhaai khuda ko tumhein saumpa
sarwar-o-rehaan ye jumla bhi ajab tha
acha meri khabr pe aana
bhaiya mujhe bhool….
1,004 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot